Shukriya

Mere Soch ko nayi raah dikhaane ke liye shukriya
Mujhe khud ko khud se pehchanwaane ke liye shukriya!

Ab tak toh bas, raaste ka patthar tha mein
Mujhe anmol banane k liye shukriya!

Mein ye ehsaan kabhi bhool nahi sakta
Mere zameer ko jagane ke liye shukriya!

Ab na padegi kisi par buri nazar, kasam se
Meri nazroon ko jhukaane ke liye shukriya!

Baant rahe the aap, hum samet rahe the
Duno hantho se gyaan lutane ke liye sukriya!

Mein haar bhi jau toh koi gum nahi ab
Mujhe sacchi ladayi sikhane ke liye shukriya!

Mein mutthi band kar, ek hunkaar bharunga
Mujhe jeet ka ahsaas dilaane ke liye shukriya!

This was a poem composed by Mirza Zeeshan, a student of mine, after a session at their institution. I feel humbled to share this and pray to the Lord Almighty to give me the Courage to continue on the path that I’ve ventured.

Dedicated to the YOUth of Our Amazing Country 🙂

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s